rang-e-taKHsis mein tamim bhi ho sakti hai
rang-e-taḳhsīs meñ ta.amīm bhī ho saktī hai
vo ikaa.ī huuñ jo taqsīm bhī ho saktī hai
ai mire ġhamza-e-ġham kyā tujhe ehsās nahīñ
tere jazbāt kī tafhīm bhī ho saktī hai
kuchh na hone kī ḳhabar pā ke khulā hai mujh par
merī qātil mirī ta.alīm bhī ho saktī hai
dekh lo us kā sarāpā to yaqīn aa jaa.e
rang aur nuur kī tajsīm bhī ho saktī hai
vo agar chāhe to kāfir ko musalmāñ kar de
āzarī dīn-e-brāhīm bhī ho saktī hai
hameñ ehsās huā bhī to bichhaḌ jaane par
zindagī raah meñ do-nīm bhī ho saktī hai
abhī ye tiir kamāñ se nahīñ niklā 'āsif'
abhī taqdīr meñ tarmīm bhī ho saktī hai
rang-e-taKHsis mein tamim bhi ho sakti hai
wo ikai hun jo taqsim bhi ho sakti hai
ai mere ghamza-e-gham kya tujhe ehsas nahin
tere jazbaat ki tafhim bhi ho sakti hai
kuchh na hone ki KHabar pa ke khula hai mujh par
meri qatil meri talim bhi ho sakti hai
dekh lo us ka sarapa to yaqin aa jae
rang aur nur ki tajsim bhi ho sakti hai
wo agar chahe to kafir ko musalman kar de
aazari din-e-brahim bhi ho sakti hai
hamein ehsas hua bhi to bichhaD jaane par
zindagi rah mein do-nim bhi ho sakti hai
abhi ye tir kaman se nahin nikla 'asif'
abhi taqdir mein tarmim bhi ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.