rang-e-zulm-e-dast-e-wahshat jab numayan ho gaya
rang-e-zulm-e-dast-e-vahshat jab numāyāñ ho gayā
manzar-e-qaus-e-quzah chāk-e-garebāñ ho gayā
auj-o-pastī dekh kar vahshat kī hairāñ ho gayā
jab garebāñ dāman aur dāman garebāñ ho gayā
ho gayā hai ab to be-āzār jiinā nā-guzīr
dard samjhā thā jise ham ne vo darmāñ ho gayā
pā-e-vahshat ko mire baḌhne nahīñ detā kabhī
ab to kotāhī meñ dāman bhī garebāñ ho gayā
hai tahayyur ke liye jab merī āñkhoñ kā vajūd
kyā ḳhatā kī dekh kar tum ko jo hairāñ ho gayā
ho gayā hai chīra-dastī-e-junūñ se chāk-chāk
ab garebāñ vāqa'ī merā garebāñ ho gayā
ho gayā hai 'qadr' sā zābit pareshāñ-hāl ab
muḳhtasar qissa ye ai zulf-e-pareshāñ ho gayā
rang-e-zulm-e-dast-e-wahshat jab numayan ho gaya
manzar-e-qaus-e-quzah chaak-e-gareban ho gaya
auj-o-pasti dekh kar wahshat ki hairan ho gaya
jab gareban daman aur daman gareban ho gaya
ho gaya hai ab to be-azar jina na-guzir
dard samjha tha jise hum ne wo darman ho gaya
pa-e-wahshat ko mere baDhne nahin deta kabhi
ab to kotahi mein daman bhi gareban ho gaya
hai tahayyur ke liye jab meri aankhon ka wajud
kya KHata ki dekh kar tum ko jo hairan ho gaya
ho gaya hai chira-dasti-e-junun se chaak-chaak
ab gareban waqa'i mera gareban ho gaya
ho gaya hai 'qadr' sa zabit pareshan-haal ab
muKHtasar qissa ye ai zulf-e-pareshan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.