rang hai nur hai ya sirf dhundalka kya hai
rang hai nuur hai yā sirf dhuñdalkā kyā hai
ḳhvāb-āsā mirī āñkhoñ se guzartā kyā hai
be-qarārī hai ajab dil meñ khaTaktā kyā hai
dasht-e-vahshat hai faqat ye tirī duniyā kyā hai
maiñ huuñ jhoñkā ki koī raah na manzil merī
dasht-o-qarya hai bhaTaknā mujhe merā kyā hai
āfiyat kā koī lamha ho mayassar dil ko
zindagī tujh se mirā aur taqāza kyā hai
vasl ḳhushbū thī havā aa.ī use le ke ga.ī
hijr kī shakl mujassam hai ye sahrā kyā hai
qatl har baar mujhī ko vo kiyā kartā hai
koī batlā.e to āḳhir ye tamāsha kyā hai
kyoñ chamakte haiñ sitāre ye añdhere meñ 'nadīm'
din kā ye shor hai kaisā ye ujālā kyā hai
rang hai nur hai ya sirf dhundalka kya hai
KHwab-asa meri aankhon se guzarta kya hai
be-qarari hai ajab dil mein khaTakta kya hai
dasht-e-wahshat hai faqat ye teri duniya kya hai
main hun jhonka ki koi rah na manzil meri
dasht-o-qarya hai bhaTakna mujhe mera kya hai
aafiyat ka koi lamha ho mayassar dil ko
zindagi tujh se mera aur taqaza kya hai
wasl KHushbu thi hawa aai use le ke gai
hijr ki shakl mujassam hai ye sahra kya hai
qatl har bar mujhi ko wo kiya karta hai
koi batlae to aaKHir ye tamasha kya hai
kyon chamakte hain sitare ye andhere mein 'nadim'
din ka ye shor hai kaisa ye ujala kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.