rang hai raushni hai murat hai
rañg hai raushnī hai mūrat hai
tū mire ḳhvāb kī haqīqat hai
bhuul jā.ūñ to maiñ taḌaptī huuñ
yaad rakhne meñ hī suhūlat hai
phuul haiñ rañg haiñ bahāreñ haiñ
zindagī kitnī ḳhūbsūrat hai
mat banā koī bhī bahāna tū
jaane vaale tujhe ijāzat hai
silsila ḳhushbūoñ se rakhtī huuñ
mujh ko ik phuul se mohabbat hai
rang hai raushni hai murat hai
tu mere KHwab ki haqiqat hai
bhul jaun to main taDapti hun
yaad rakhne mein hi suhulat hai
phul hain rang hain bahaaren hain
zindagi kitni KHubsurat hai
mat bana koi bhi bahana tu
jaane wale tujhe ijazat hai
silsila KHushbuon se rakhti hun
mujh ko ek phul se mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.