rang ka farq miTaya ye sharaf mera tha
rañg kā farq miTāyā ye sharaf merā thā
sañg-e-asvad thā mirā durr-e-najaf merā thā
sub.h-e-bai.at kī vo zahrīlī havā terī thī
aur jo phuul thā shamshīr-ba-kaf merā thā
rah ke paanī meñ bhī paanī se bahut duur rahā
thā jo dariyā meñ vafāoñ kā sadaf merā thā
dīn-o-duniyā meñ rahī jañg añdhere ke sabab
sub.h ke vaqt magar merī taraf merā thā
us ko karnā hī paḌā sar mirā ūñchā 'saulat'
aaj neze ne bhī samjhā jo sharaf merā thā
rang ka farq miTaya ye sharaf mera tha
sang-e-aswad tha mera durr-e-najaf mera tha
subh-e-baiat ki wo zahrili hawa teri thi
aur jo phul tha shamshir-ba-kaf mera tha
rah ke pani mein bhi pani se bahut dur raha
tha jo dariya mein wafaon ka sadaf mera tha
din-o-duniya mein rahi jang andhere ke sabab
subh ke waqt magar meri taraf mera tha
us ko karna hi paDa sar mera uncha 'saulat'
aaj neze ne bhi samjha jo sharaf mera tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.