rang ka lutf na kuchh ras ka maza
rang kā lutf na kuchh ras kā maza
gul se letī hai sabā mas kā maza
titliyāñ ḳhuub samajhtī haiñ ye baat
rang ke saath gayā ras kā maza
chāñd ne mere chakhāyā mujh ko
ain pūnam meñ amāvas kā maza
zāviye dā.ere sab bhuul ga.e
lag gayā jab se musallas kā maza
bhūltī jaatī hai dhīre dhīre
lomḌī dāvat-e-sāras kā maza
laao bijnaurī sā īmāñ to mile
sher meñ ved-e-muqaddas kā maza
so ga.ī qaum bil-āḳhir 'muztar'
rah gayā muñh pe musaddas kā maza
rang ka lutf na kuchh ras ka maza
gul se leti hai saba mas ka maza
titliyan KHub samajhti hain ye baat
rang ke sath gaya ras ka maza
chand ne mere chakhaya mujh ko
ain punam mein amawas ka maza
zawiye daere sab bhul gae
lag gaya jab se musallas ka maza
bhulti jati hai dhire dhire
lomDi dawat-e-saras ka maza
lao bijnauri sa iman to mile
sher mein wed-e-muqaddas ka maza
so gai qaum bil-aKHir 'muztar'
rah gaya munh pe musaddas ka maza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.