rang KHush-bu mein agar hal ho jae
rañg ḳhush-bū meñ agar hal ho jaa.e
vasl kā ḳhvāb mukammal ho jaa.e
chāñd kā chūmā huā surḳh gulāb
tītarī dekhe to pāgal ho jaa.e
maiñ añdheroñ ko ujālūñ aise
tīrgī aañkh kā kājal ho jaa.e
dosh par bārisheñ le ke ghūmeñ
maiñ havā aur vo bādal ho jaa.e
narm sabze pe zarā jhuk ke chale
shabnamī raat kā āñchal ho jaa.e
umr bhar thāme rahe ḳhush-bū ko
phuul kā haath magar shal ho jaa.e
chiḌiyā pattoñ meñ simaT kar so.e
peḌ yuuñ phaile ki jañgal ho jaa.e
rang KHush-bu mein agar hal ho jae
wasl ka KHwab mukammal ho jae
chand ka chuma hua surKH gulab
titari dekhe to pagal ho jae
main andheron ko ujalun aise
tirgi aankh ka kajal ho jae
dosh par barishen le ke ghumen
main hawa aur wo baadal ho jae
narm sabze pe zara jhuk ke chale
shabnami raat ka aanchal ho jae
umr bhar thame rahe KHush-bu ko
phul ka hath magar shal ho jae
chiDiya patton mein simaT kar soe
peD yun phaile ki jangal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.