rang KHushbu aur gul-o-gulzar ki hai raushni
rang KHushbu aur gul-o-gulzar ki hai raushni
Rashida Maheen Malik
MORE BYRashida Maheen Malik
rang ḳhushbū aur gul-o-gulzār kī hai raushnī
merī nas nas meñ tumhāre pyaar kī hai raushnī
mere hoñToñ par ujāle haiñ lab-e-dildār ke
merī āñkhoñ meñ nigāh-e-yār kī hai raushnī
rāhat-e-jāñ ke ujāle dekhtī huuñ jā-ba-jā
baaġh meñ qurbat ke barg-o-bār kī hai raushnī
terī ḳhushbū is tarah utrī hai rūh-o-jism meñ
merī sāñsoñ meñ tirī mahkār kī hai raushnī
ek dīvār-e-rifāqat jo pas-e-dīvār hai
merī dīvāroñ pe us dīvār kī hai raushnī
ab charāġhoñ ko bujhā de ai havā-e-nīm-shab
taaq meñ mere mire dildār kī hai raushnī
rang KHushbu aur gul-o-gulzar ki hai raushni
meri nas nas mein tumhaare pyar ki hai raushni
mere honTon par ujale hain lab-e-dildar ke
meri aankhon mein nigah-e-yar ki hai raushni
rahat-e-jaan ke ujale dekhti hun ja-ba-ja
bagh mein qurbat ke barg-o-bar ki hai raushni
teri KHushbu is tarah utri hai ruh-o-jism mein
meri sanson mein teri mahkar ki hai raushni
ek diwar-e-rifaqat jo pas-e-diwar hai
meri diwaron pe us diwar ki hai raushni
ab charaghon ko bujha de ai hawa-e-nim-shab
taq mein mere mere dildar ki hai raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.