rang KHushbu gulab ki baaten
rang ḳhushbū gulāb kī bāteñ
chand kaliyāñ shabāb kī bāteñ
vahshat-e-dil hazār zaḳhm-e-jigar
ham se kyā kyā azaab kī bāteñ
aao dekho bahār kartī hai
bahkī bahkī sharāb kī bāteñ
zindagī ham bhī ab guzāreñge
kar ke us lā-javāb kī bāteñ
jāñ-gusil marhale mohabbat ke
tishnagī-o-sarāb kī bāteñ
uljhe rahte ho is qadar 'barham'
na karo iztirāb kī bāteñ
rang KHushbu gulab ki baaten
chand kaliyan shabab ki baaten
wahshat-e-dil hazar zaKHm-e-jigar
hum se kya kya azab ki baaten
aao dekho bahaar karti hai
bahki bahki sharab ki baaten
zindagi hum bhi ab guzarenge
kar ke us la-jawab ki baaten
jaan-gusil marhale mohabbat ke
tishnagi-o-sarab ki baaten
uljhe rahte ho is qadar 'barham'
na karo iztirab ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.