Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang KHushbu na sada hun tere kis kaam ka hun

Tariq Hashmi

rang KHushbu na sada hun tere kis kaam ka hun

Tariq Hashmi

MORE BYTariq Hashmi

    rang ḳhushbū na sadā huuñ tire kis kaam huuñ

    ḳhud soch maiñ kyā huuñ tire kis kaam huuñ

    ham-nafas qarya-e-pur-nūr ke rahne vaale

    ek maddham diyā huuñ tire kis kaam huuñ

    maiñ zarūrat thā magar terī tamanna to nahīñ

    kyuuñ tirā saath nibhā.ūñ tire kis kaam huuñ

    terī marzī mirā masraf to nikāle jo bhī

    maiñ to ye jānñā chāhūñ tire kis kaam huuñ

    terā maslak ye hangāma-e-hastī hai magar

    maiñ ki mahrūm-e-navā huuñ tire kis kaam hai

    jo us paar khaḌā hai to mujhe kyā 'tāriq'

    maiñ jo is paar khaḌā huuñ tire kis kaam huuñ

    rang KHushbu na sada hun tere kis kaam ka hun

    tu hi KHud soch main kya hun tere kis kaam ka hun

    ham-nafas qarya-e-pur-nur ke rahne wale

    ek maddham sa diya hun tere kis kaam ka hun

    main zarurat tha magar teri tamanna to nahin

    kyun tera sath nibhaun tere kis kaam ka hun

    teri marzi mera masraf to nikale jo bhi

    main to ye jaanna chahun tere kis kaam ka hun

    tera maslak hi ye hangama-e-hasti hai magar

    main ki mahrum-e-nawa hun tere kis kaam ka hai

    tu jo us par khaDa hai to mujhe kya 'tariq'

    main jo is par khaDa hun tere kis kaam ka hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now