rang kuchh shoKH se taswir mein bhar kar dekho
rañg kuchh shoḳh se tasvīr meñ bhar kar dekho
zindagī shoḳh hai is shoḳh pe mar kar dekho
ek pal ke liye 'mumtāz' Thahar kar dekho
dil kī jānib bhī zarā ek nazar kar dekho
apnī hastī kā sanam toḌo to pāoge najāt
ret ke zarroñ kī mānind bikhar kar dekho
kitnā pyārā hai jahāñ kitnī hasīñ hai ye hayāt
yaas o andoh ke dariyā se guzar kar dekho
lab-e-sāhil pe to 'mumtāz' na mil paayā sukūñ
sail-e-tūfān-e-havādis se guzar kar dekho
rang kuchh shoKH se taswir mein bhar kar dekho
zindagi shoKH hai is shoKH pe mar kar dekho
ek pal ke liye 'mumtaz' Thahar kar dekho
dil ki jaanib bhi zara ek nazar kar dekho
apni hasti ka sanam toDo to paoge najat
ret ke zarron ki manind bikhar kar dekho
kitna pyara hai jahan kitni hasin hai ye hayat
yas o andoh ke dariya se guzar kar dekho
lab-e-sahil pe to 'mumtaz' na mil paya sukun
sail-e-tufan-e-hawadis se guzar kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.