rang laega hamari be-zabani ka hunar
rang lā.egā hamārī be-zabānī kā hunar
aam hogā ab yahāñ ātish-bayānī kā hunar
ik tabassum se jagā dī gulsitāñ kī har ravish
dekhiye us rashk-e-gul kī gul-fishānī kā hunar
dosto ye to fareb-o-maslahat kā daur hai
qissa-e-pārīna hai ab mehrbānī kā hunar
ham jise hamrāz samjhe the vahī niklā raqīb
ham ko le Duubā hamārī ḳhush-gumānī kā hunar
sach ko kar de jhuuT aur nā-mo'tabar ko mo'atabar
dekhiye is daur kī jādū-bayānī kā hunar
jazba-o-ehsās ko hai naġhmagī dene kā fan
shā.irī 'sayyad' nahīñ lafz-o-ma.ānī kā hunar
rang laega hamari be-zabani ka hunar
aam hoga ab yahan aatish-bayani ka hunar
ek tabassum se jaga di gulsitan ki har rawish
dekhiye us rashk-e-gul ki gul-fishani ka hunar
dosto ye to fareb-o-maslahat ka daur hai
qissa-e-parina hai ab mehrbani ka hunar
hum jise hamraaz samjhe the wahi nikla raqib
hum ko le Duba hamari KHush-gumani ka hunar
sach ko kar de jhuT aur na-mo'tabar ko mo'atabar
dekhiye is daur ki jadu-bayani ka hunar
jazba-o-ehsas ko hai naghmagi dene ka fan
shairi 'sayyad' nahin lafz-o-maani ka hunar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.