rang laegi iltija meri
rang lā.egī iltijā merī
sun hī legā kabhī ḳhudā merī
zabt-e-ġham ko du'ā.eñ detā huuñ
rah ga.ī ghuT ke har sadā merī
us kī banda-navāziyāñ dekho
baḳhsh detā hai har ḳhatā merī
sunñe vāloñ ke dil taḌap uTThe
sāz-e-ġham ban ga.ī sadā merī
vasl mumkin nahīñ visāl sahī
ab to kuchh aur hai du'ā merī
be-sahāroñ kā aasrā tū hai
kaun suntā tire sivā merī
ye mashiyyat ke raaz haiñ 'shankar'
ibtidā merī intihā merī
rang laegi iltija meri
sun hi lega kabhi KHuda meri
zabt-e-gham ko du'aen deta hun
rah gai ghuT ke har sada meri
us ki banda-nawaziyan dekho
baKHsh deta hai har KHata meri
sunne walon ke dil taDap uTThe
saz-e-gham ban gai sada meri
wasl mumkin nahin visal sahi
ab to kuchh aur hai du'a meri
be-sahaaron ka aasra tu hai
kaun sunta tere siwa meri
ye mashiyyat ke raaz hain 'shankar'
ibtida meri intiha meri
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 238)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.