rang laegi meri wafa dekhna
rang lā.egī merī vafā dekhnā
miT hī jā.egā har fāsla dekhnā
dāvat-e-dīd dete haiñ manzar ka.ī
sāmne tum agar ho to kyā dekhnā
merā milnā koī mas.ala bhī nahīñ
shart hai karke koshish zarā dekhnā
jā rahe to ho tum gaañv ko chhoḌ kar
shahr kī pahle āb-o-havā dekhnā
har jagah mujh ko pāoge apne qarīb
tum kahīñ se bhī de kar sadā dekhnā
merī ḳhvāhish yahī merā armāñ yahī
har ghaḌī tum ko hañstā huā dekhnā
us ke patte 'razā' zard hone lage
maiñ ne chāhā thā jis ko harā dekhnā
rang laegi meri wafa dekhna
miT hi jaega har fasla dekhna
dawat-e-did dete hain manzar kai
samne tum agar ho to kya dekhna
mera milna koi masala bhi nahin
shart hai karke koshish zara dekhna
ja rahe to ho tum ganw ko chhoD kar
shahr ki pahle aab-o-hawa dekhna
har jagah mujh ko paoge apne qarib
tum kahin se bhi de kar sada dekhna
meri KHwahish yahi mera arman yahi
har ghaDi tum ko hansta hua dekhna
us ke patte 'raza' zard hone lage
main ne chaha tha jis ko hara dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.