rang laegi meri soch ki taqsir ek din
rang lā.egī mirī soch kī taqsīr ik din
tum bhī dekhoge mire paañv meñ zanjīr ik din
isī ummīd pe sab ḳhvāb sajā.e ham ne
mil hī jā.egī kabhī in kī bhī ta.abīr ik din
apnī tadbīr pe karte haiñ bharosa jo log
vo badal dete haiñ apnī likhī taqdīr ik din
saḳht majbūrī meñ kartā hai koī tark vatan
lakhna.ū jā ke pashemān hue 'mīr' ik din
rang laegi meri soch ki taqsir ek din
tum bhi dekhoge mere panw mein zanjir ek din
isi ummid pe sab KHwab sajae hum ne
mil hi jaegi kabhi in ki bhi tabir ek din
apni tadbir pe karte hain bharosa jo log
wo badal dete hain apni likhi taqdir ek din
saKHt majburi mein karta hai koi tark watan
lakhnau ja ke pasheman hue 'mir' ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.