rang le kar naya udasi ka
rañg le kar nayā udāsī kā
koī manzar banā udāsī kā
phir koī dāstān chheḌī ga.ī
phir banā dā.era udāsī kā
merī āñkhoñ meñ raqs-e-vīrānī
dekh kar dil phaTā udāsī kā
maiñ ne kamre meñ jis taraf dekhā
naqsh bantā gayā udāsī kā
mushtamil hai hazār sadiyoñ par
pal vo Thahrā huā udāsī kā
shervānī ḳharīd lī us ne
maiñ ne zevar liyā udāsī kā
rang le kar naya udasi ka
koi manzar bana udasi ka
phir koi dastan chheDi gai
phir bana daera udasi ka
meri aankhon mein raqs-e-virani
dekh kar dil phaTa udasi ka
main ne kamre mein jis taraf dekha
naqsh banta gaya udasi ka
mushtamil hai hazar sadiyon par
pal wo Thahra hua udasi ka
sherwani KHarid li us ne
main ne zewar liya udasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.