rang nikharte phul bikharte jaenge
rañg nikharte phuul bikharte jā.eñge
jaane vaale ik din lauT ke ā.eñge
jhūTī sachchī bāteñ un kī mat sunñā
pyaar ke dushman log tumheñ bahkā.enge
tere baad judā.iyāñ kaise kaaTī haiñ
ik ik lamha ik ik pal dohrā.eñge
hosh ḳhirad aur aql-o-ḳhirad ke ma.anī ab
dīvāne farzānoñ ko samjhā.eñge
umaD rahī hai yādoñ kī ghanghor ghaTā
nainoñ ke phir bādal meñh barsā.eñge
terī chhoTī chhoTī ḳhushiyoñ kī ḳhātir
tere saare dukh apnāte jā.eñge
tū bhī DhūñD mujhe aur maiñ tujh ko DhūñDūñ
ik duuje ko kho kar ab pachhtā.eñge
rang nikharte phul bikharte jaenge
jaane wale ek din lauT ke aaenge
jhuTi sachchi baaten un ki mat sunna
pyar ke dushman log tumhein bahkaenge
tere baad judaiyan kaise kaTi hain
ek ek lamha ek ek pal dohraenge
hosh KHirad aur aql-o-KHirad ke mani ab
diwane farzanon ko samjhaenge
umaD rahi hai yaadon ki ghanghor ghaTa
nainon ke phir baadal meinh barsaenge
teri chhoTi chhoTi KHushiyon ki KHatir
tere sare dukh apnate jaenge
tu bhi DhunD mujhe aur main tujh ko DhunDun
ek duje ko kho kar ab pachhtaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.