rang-o-bu ke jahan ke the hi nahin
rang-o-bū ke jahāñ ke the hī nahīñ
is zamīñ āsmāñ ke the hī nahīñ
rāh-o-manzil alag rahe apne
ham kisī kārvāñ ke the hī nahīñ
barq ko bhī rahā yahī afsos
ham kisī āshiyāñ ke the hī nahīñ
ham ne samjhā thā un ko kyoñ apnā
vo jo mehmāñ yahāñ ke the hī nahīñ
manzileñ āsmāñ se aage thiiñ
ham zamān-o-makāñ ke the hī nahīñ
rang-o-bū iḳhtiyār kyoñ karte
phuul is gulsitāñ ke the hī nahīñ
ho ga.e rā.egāñ sabhī sajde
vo jo is āstāñ ke the hī nahīñ
rang-o-bu ke jahan ke the hi nahin
is zamin aasman ke the hi nahin
rah-o-manzil alag rahe apne
hum kisi karwan ke the hi nahin
barq ko bhi raha yahi afsos
hum kisi aashiyan ke the hi nahin
hum ne samjha tha un ko kyon apna
wo jo mehman yahan ke the hi nahin
manzilen aasman se aage thin
hum zaman-o-makan ke the hi nahin
rang-o-bu iKHtiyar kyon karte
phul is gulsitan ke the hi nahin
ho gae raegan sabhi sajde
wo jo is aastan ke the hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.