rang-o-bu kuchh bhi nahin hai rang-o-bu ke darmiyan
rang-o-bū kuchh bhī nahīñ hai rang-o-bū ke darmiyāñ
khel hai saarā faqat mere lahū ke darmiyāñ
dasht-o-sahrā se maiñ kyā kyā ḳhaar rakhtā huuñ magar
saañs phūlī jā rahī hai kāḳh-o-kū ke darmiyāñ
ḳhāmushī aur shor-e-lā-yānī hai mābain-e-kalām
guftugū hotī hai chup aur hāo-hū ke darmiyāñ
jaan shāḳh-e-dil kahāñ lā pā.egī ab barg-o-bār
ghaat meñ hai dushman-e-jānī numū ke darmiyāñ
rang-o-bu kuchh bhi nahin hai rang-o-bu ke darmiyan
khel hai sara faqat mere lahu ke darmiyan
dasht-o-sahra se main kya kya KHar rakhta hun magar
sans phuli ja rahi hai kaKH-o-ku ke darmiyan
KHamushi aur shor-e-la-yani hai mabain-e-kalam
guftugu hoti hai chup aur hao-hu ke darmiyan
jaan shaKH-e-dil kahan la paegi ab barg-o-bar
ghat mein hai dushman-e-jaani numu ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.