rang-o-bu phul mein kali mein nahin
rang-o-bū phuul meñ kalī meñ nahīñ
husn bhī ab vo chāñdnī meñ nahīñ
ādamiyyat jo aadmī meñ nahīñ
ġham kā ehsās ab kisī meñ nahīñ
zahr-bar-lab har ek gul hai aaj
zindagī phuul kī hañsī meñ nahīñ
bāda-e-intiqām pī pī kar
aadmī jaise aap hī meñ nahīñ
dushmanī kā bhī past hai me'yār
ab bulandī bhī dostī meñ nahīñ
mai-kadoñ meñ hai zikr-e-dair-o-haram
kaif-o-mastī jo mai-kashī meñ nahīñ
ab payām-e-sukūn o rāhat-e-dil
lāla-o-gul kī tāzgī meñ nahīñ
ziist us kī hai ek marg-e-davām
zindagī jis kī zindagī meñ nahīñ
kaun kis kā gila kare 'amjad'
nūr-e-insāniyat kisī meñ nahīñ
rang-o-bu phul mein kali mein nahin
husn bhi ab wo chandni mein nahin
aadamiyyat jo aadmi mein nahin
gham ka ehsas ab kisi mein nahin
zahr-bar-lab har ek gul hai aaj
zindagi phul ki hansi mein nahin
baada-e-intiqam pi pi kar
aadmi jaise aap hi mein nahin
dushmani ka bhi past hai me'yar
ab bulandi bhi dosti mein nahin
mai-kadon mein hai zikr-e-dair-o-haram
kaif-o-masti jo mai-kashi mein nahin
ab payam-e-sukun o rahat-e-dil
lala-o-gul ki tazgi mein nahin
zist us ki hai ek marg-e-dawam
zindagi jis ki zindagi mein nahin
kaun kis ka gila kare 'amjad'
nur-e-insaniyat kisi mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.