rang-o-nam-o-nasl ke jhagDe miTa lije zara
rang-o-nam-o-nasl ke jhagDe miTa lije zara
Saadullah Khan Asar Malkapur
MORE BYSaadullah Khan Asar Malkapur
rang-o-nām-o-nasl ke jhagḌe miTā liije zarā
ham gale mil leñge ye parde uThā liije zarā
zulf kī ruḳhsār kī sunñe ko tab jī chāhegā
aa.ina aap apne chehre ko dikhā liije zarā
gul kī bulbul kī bahāroñ kī chaman kī phir kabhī
ujḌe ujḌe āshiyāñ pahle basā liije zarā
uñgliyāñ phir merī jānib shauq se lenā uThā
apne dāman par lage dhabbe miTā liije zarā
aap kī adnā duāoñ meñ bhī aa.egā 'asar'
donoñ hāthoñ ko aqīdat se uThā liije zarā
rang-o-nam-o-nasl ke jhagDe miTa lije zara
hum gale mil lenge ye parde uTha lije zara
zulf ki ruKHsar ki sunne ko tab ji chahega
aaina aap apne chehre ko dikha lije zara
gul ki bulbul ki bahaaron ki chaman ki phir kabhi
ujDe ujDe aashiyan pahle basa lije zara
ungliyan phir meri jaanib shauq se lena uTha
apne daman par lage dhabbe miTa lije zara
aap ki adna duaon mein bhi aaega 'asar'
donon hathon ko aqidat se uTha lije zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.