rang-o-ra’nai chhin leta hai
rang-o-rā’nā.ī chhīn letā hai
'ishq zebā.ī chhīn letā hai
chashm-e-yāqūb kar chukī sābit
hijr bīnā.ī chhīn letā hai
gaañv meñ jhuuT ke nahīñ paañv
shahr sachchā.ī chhīn letā hai
shiddat-e-dard meñ dilāsa tirā
dukh kī gahrā.ī chhīn letā hai
bām-o-dar sahn chār-dīvārī
bhaa.ī se bhaa.ī chhīn letā hai
saḳht-gīroñ ke narm hāthoñ se
rab masīhā.ī chhīn letā hai
'ijz har dil pe hukmrāñ hai 'rabāb'
zo'm dānā.ī chhīn letā hai
rang-o-ra’nai chhin leta hai
'ishq zebai chhin leta hai
chashm-e-yaqub kar chuki sabit
hijr binai chhin leta hai
ganw mein jhuT ke nahin panw
shahr sachchai chhin leta hai
shiddat-e-dard mein dilasa tera
dukh ki gahrai chhin leta hai
baam-o-dar sahn chaar-diwari
bhai se bhai chhin leta hai
saKHt-giron ke narm hathon se
rab masihai chhin leta hai
'ijz har dil pe hukmran hai 'rabab'
zo'm danai chhin leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.