rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha
rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
rañg-o-sifāt-e-yār meñ dil Dhal nahīñ rahā
sho.aloñ kī zad meñ phuul hai aur jal nahīñ rahā
vo dhuup hai ki peḌ bhī jalne pe aa gayā
vo bhuuk hai ki shāḳh pe ab phal nahīñ rahā
le aao merī aañkh kī lau ke qarīb use
tum se bujhā charāġh agar jal nahīñ rahā
ham log ab zamān-o-zamāna se duur haiñ
ya.anī yahāñ pe vaqt bhī ab chal nahīñ rahā
rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha
shoalon ki zad mein phul hai aur jal nahin raha
wo dhup hai ki peD bhi jalne pe aa gaya
wo bhuk hai ki shaKH pe ab phal nahin raha
le aao meri aankh ki lau ke qarib use
tum se bujha charagh agar jal nahin raha
hum log ab zaman-o-zamana se dur hain
yani yahan pe waqt bhi ab chal nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.