rang par jab wo bazm-e-naz aai
rañg par jab vo bazm-e-nāz aa.ī
ham uThe le ke dard-e-tanhā.ī
kis se pūchheñ tilism-e-hastī meñ
ham tamāshā haiñ yā tamāshā.ī
thā ġham-e-ishq jāñ-gudāz magar
kuchh usī ġham ne kī masīhā.ī
haa.e kis sādgī se sīkhā hai
husn ne ehtimām-e-rānā.ī
āḳhir-e-shab zabān-e-sham.a pe hai
dāstān-e-hujūm-e-tanhā.ī
chand ḳhūnīñ-jigar hue rusvā
muskurāyā chaman bahār aa.ī
chup rahe ham to ḳhuuñ huā dil kā
baat kī hai to aañkh bhar aa.ī
haa.e is daur-e-aql-o-dānish ne
kar diyā aadmī ko saudā.ī
ham chaman meñ na the to ḳhud hī 'ravish'
bū-e-gul dasht tak chalī aa.ī
rang par jab wo bazm-e-naz aai
hum uThe le ke dard-e-tanhai
kis se puchhen tilism-e-hasti mein
hum tamasha hain ya tamashai
tha gham-e-ishq jaan-gudaz magar
kuchh usi gham ne ki masihai
hae kis sadgi se sikha hai
husn ne ehtimam-e-ranai
aaKHir-e-shab zaban-e-shama pe hai
dastan-e-hujum-e-tanhai
chand KHunin-jigar hue ruswa
muskuraya chaman bahaar aai
chup rahe hum to KHun hua dil ka
baat ki hai to aankh bhar aai
hae is daur-e-aql-o-danish ne
kar diya aadmi ko saudai
hum chaman mein na the to KHud hi 'rawish'
bu-e-gul dasht tak chali aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.