rang se bezar tha KHushbu se uktaya hua
rang se bezār thā ḳhushbū se uktāyā huā
fasl-e-gul ruḳhsat huī dil ne kahā achchhā huā
pyaas ke maare hue kuchh log mujh ko yaad haiñ
bhuul jā.ūñgā unheñ jis roz maiñ dariyā huā
maiñ vahīñ samjhā ki ab dil par tabāhī aa ga.ī
har na.e chehre pe jab pahchān kā dhoka huā
chāñd kyoñ maddham huā ghar ke charāġhoñ kī tarah
aañkh hī dhuñdlā ga.ī ki abr hai chhāyā huā
ham vahī haiñ kal jinheñ chehre pe apne naaz thā
ab hamāre sāmne hai aa.ina TuuTā huā
ruuTh kar jaanā tumhārā maiñ na bhūlūñgā kabhī
chaudhvīñ kā chāñd thā us raat gahnāyā huā
rang se bezar tha KHushbu se uktaya hua
fasl-e-gul ruKHsat hui dil ne kaha achchha hua
pyas ke mare hue kuchh log mujh ko yaad hain
bhul jaunga unhen jis roz main dariya hua
main wahin samjha ki ab dil par tabahi aa gai
har nae chehre pe jab pahchan ka dhoka hua
chand kyon maddham hua ghar ke charaghon ki tarah
aankh hi dhundla gai ki abr hai chhaya hua
hum wahi hain kal jinhen chehre pe apne naz tha
ab hamare samne hai aaina TuTa hua
ruTh kar jaana tumhaara main na bhulunga kabhi
chaudhwin ka chand tha us raat gahnaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.