rang se rasta surat se pata leta hun
rañg se rāsta sūrat se patā letā huuñ
aur bichhḌe hue ik ishq ko jā letā huuñ
ab to ye tujh se bhī bāvar nahīñ hone vaalā
merā qissa hai so ḳhud ko hī sunā letā huuñ
ik ziyārat ke sivā yaar kī qurbat ke sivā
aur ai arz-o-samā tum se maiñ kyā letā huuñ
ritl-e-ishq apnī taraf se to uThāyā huā hai
lā ise terī taraf se bhī uThā letā huuñ
rang se rasta surat se pata leta hun
aur bichhDe hue ek ishq ko ja leta hun
ab to ye tujh se bhi bawar nahin hone wala
mera qissa hai so KHud ko hi suna leta hun
ek ziyarat ke siwa yar ki qurbat ke siwa
aur ai arz-o-sama tum se main kya leta hun
ritl-e-ishq apni taraf se to uThaya hua hai
la ise teri taraf se bhi uTha leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.