rang to maujud ki taswir ho sakte nahin
rañg to maujūd kī tasvīr ho sakte nahīñ
vo jo manzar ḳhvāb haiñ ta.abīr ho sakte nahīñ
kyuuñ mujhe ash.ār kahne kā hunar us ne diyā
mujh se mere dukh agar tahrīr ho sakte nahīñ
aañkh meñ manzar to aa sakte haiñ sūrat oḌh kar
aa.ine to aks se zanjīr ho sakte nahīñ
maiñ hī apne dard-o-ġham likkhūñgā apne haath se
ye janāze aap se tahrīr ho sakte nahīñ
sarf ho jā.eñge ham us kī mohabbat meñ yūñhī
sarf ho jā.eñge ham tasḳhīr ho sakte nahīñ
is zamīñ kī Toh meñ rahnā himāqat hai miyāñ
jis zamīñ pe sher bhī ta.amīr ho sakte nahīñ
guftugū ye kah rahī hai baat meñ halke ho tum
so murīdī meñ raho tum piir ho sakte nahīñ
niiñd to be-kār meñ in kosnoñ kī zad meñ hai
ḳhvāb hī aise haiñ jo ta.abīr ho sakte nahīñ
is ko sehl-e-mumtana.a meñ baat aa.egī samajh
'zeb' aise sher to tafsīr ho sakte nahīñ
rang to maujud ki taswir ho sakte nahin
wo jo manzar KHwab hain tabir ho sakte nahin
kyun mujhe ashaar kahne ka hunar us ne diya
mujh se mere dukh agar tahrir ho sakte nahin
aankh mein manzar to aa sakte hain surat oDh kar
aaine to aks se zanjir ho sakte nahin
main hi apne dard-o-gham likkhunga apne hath se
ye janaze aap se tahrir ho sakte nahin
sarf ho jaenge hum us ki mohabbat mein yunhi
sarf ho jaenge hum tasKHir ho sakte nahin
is zamin ki Toh mein rahna himaqat hai miyan
jis zamin pe sher bhi tamir ho sakte nahin
guftugu ye kah rahi hai baat mein halke ho tum
so muridi mein raho tum pir ho sakte nahin
nind to be-kar mein in kosnon ki zad mein hai
KHwab hi aise hain jo tabir ho sakte nahin
is ko sehl-e-mumtana mein baat aaegi samajh
'zeb' aise sher to tafsir ho sakte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.