rang us ka badalne wala hai
rang us kā badalne vaalā hai
nayā sūraj nikalne vaalā hai
maut kī oT meñ na ho jā.ūñ
phir koī tiir chalne vaalā hai
bhuuk peToñ meñ sarsarāne lagī
saañp insāñ nigalne vaalā hai
saarī ḳhilqat hai aaj sahmī huī
koī laavā ubalne vaalā hai
kab ye mumkin hai sach na khul paa.e
kab ye tūfān Talne vaalā hai
us ko apnoñ kī kyā ḳhabar hai ki jo
dar pe ġhairoñ ke palne vaalā hai
apne hī ghar kī fikr hai sab ko
shahr to saarā jalne vaalā hai
jis ke hoñToñ pe jhuuT rahtā thā
āḳhirash sach ugalne vaalā hai
rang us ka badalne wala hai
naya suraj nikalne wala hai
maut ki oT mein na ho jaun
phir koi tir chalne wala hai
bhuk peTon mein sarsarane lagi
sanp insan nigalne wala hai
sari KHilqat hai aaj sahmi hui
koi lawa ubalne wala hai
kab ye mumkin hai sach na khul pae
kab ye tufan Talne wala hai
us ko apnon ki kya KHabar hai ki jo
dar pe ghairon ke palne wala hai
apne hi ghar ki fikr hai sab ko
shahr to sara jalne wala hai
jis ke honTon pe jhuT rahta tha
aaKHirash sach ugalne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.