rangat ye ruKH ki aur ye aalam naqab ka
rañgat ye ruḳh kī aur ye aalam naqāb kā
dāman meñ koī phuul liye hai gulāb kā
chāroñ taraf se us pe nigāhoñ kā baar hai
mushkil hai un ko ruḳh se uThānā naqāb kā
taskīn-e-ḳhāk dete haiñ rakh kar jigar pe haath
pahlū badal rahe haiñ mire iztirāb kā
muddat huī vahī hai zamāne kā inqilāb
naqshā khiñchā huā hai mire iztirāb kā
bachpan kahāñ tak un kī umañgoñ ko roktā
āḳhir ko rañg phuuT hī niklā shabāb kā
ronā ḳhushī kā rotī hai bulbul bahār meñ
chhiḌkāv ho rahā hai chaman meñ gulāb kā
jhalkī dikhā ke aur vo bijlī girā ga.e
achchhā kiyā ilaaj mire iztirāb kā
ḳhāk-e-chaman pe shabnam o gul kā ajab hai rañg
sāġhar kisī se chhūT paḌā hai sharāb kā
kho.e hue haiñ shāhid o ma.anī kī dhun meñ ham
ye bhī 'jalīl' ek junūñ hai shabāb kā
rangat ye ruKH ki aur ye aalam naqab ka
daman mein koi phul liye hai gulab ka
chaaron taraf se us pe nigahon ka bar hai
mushkil hai un ko ruKH se uThana naqab ka
taskin-e-KHak dete hain rakh kar jigar pe hath
pahlu badal rahe hain mere iztirab ka
muddat hui wahi hai zamane ka inqilab
naqsha khincha hua hai mere iztirab ka
bachpan kahan tak un ki umangon ko rokta
aaKHir ko rang phuT hi nikla shabab ka
rona KHushi ka roti hai bulbul bahaar mein
chhiDkaw ho raha hai chaman mein gulab ka
jhalki dikha ke aur wo bijli gira gae
achchha kiya ilaj mere iztirab ka
KHak-e-chaman pe shabnam o gul ka ajab hai rang
saghar kisi se chhuT paDa hai sharab ka
khoe hue hain shahid o mani ki dhun mein hum
ye bhi 'jalil' ek junun hai shabab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.