rangaten masum chehron ki bujha di jaengi
rañgateñ ma.asūm chehroñ kī bujhā dī jā.eñgī
titliyāñ āñdhī ke jhoñkoñ se uḌā dī jā.eñgī
hasrat-e-nazzārgī bhaTkegī har har gaam par
ḳhvāb hoñge aur ta.abīreñ chhupā dī jā.eñgī
āhaTeñ gūñjeñgī aur koī na aa.egā nazar
pyaar kī ābādiyāñ sahrā banā dī jā.eñgī
is qadar dhuñdlā.eñge naqsh-o-nigār-e-āzarū
dekhte hī dekhte āñkheñ gañvā dī jā.eñgī
fursateñ hoñgī magar aisī baḌheñgī talḳhiyāñ
sirf yādeñ hī nahīñ shakleñ bhulā dī jā.eñgī
is qadar ro.eñgī āñkheñ dekh kar pichhle ḳhutūt
āñsuoñ se saarī tahrīreñ miTā dī jā.eñgī
raat ke jugnū pe hogā chaḌhte sūraj kā gumāñ
zulmateñ māhaul kī itnī baḌhā dī jā.eñgī
rangaten masum chehron ki bujha di jaengi
titliyan aandhi ke jhonkon se uDa di jaengi
hasrat-e-nazzargi bhaTkegi har har gam par
KHwab honge aur tabiren chhupa di jaengi
aahaTen gunjengi aur koi na aaega nazar
pyar ki aabaadiyan sahra bana di jaengi
is qadar dhundlaenge naqsh-o-nigar-e-azaru
dekhte hi dekhte aankhen ganwa di jaengi
fursaten hongi magar aisi baDhengi talKHiyan
sirf yaaden hi nahin shaklen bhula di jaengi
is qadar roengi aankhen dekh kar pichhle KHutut
aansuon se sari tahriren miTa di jaengi
raat ke jugnu pe hoga chaDhte suraj ka guman
zulmaten mahaul ki itni baDha di jaengi
- Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 101)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.