rangini-e-hayat ke manzar se dur hai
rañgīni-e-hayāt ke manzar se duur hai
dil apnā raushnī-e-muqaddar se duur hai
ye sach hai koī dost nahīñ zindagī ke saath
ye kyā hai kam ki fitna-e-mahshar se duur hai
alfāz kā mahaktā hai gul-dān har ghaḌī
afkār kā ujālā magar sar se duur hai
gumrāhiyoñ se us ko bachā le ḳhudā-e-pāk
ye qaum aaj dars-e-payambar se duur hai
maiñ apnā haath sū-e-falak to baḌhā.e huuñ
ye aur baat hai mah-o-aḳhtar se duur hai
mazdūr huuñ maiñ kartā huuñ mehnat tamām din
ḳhush-hālī phir bhī mere muqaddar se duur hai
'darvesh' apnī zaat se tum kyoñ ho mutma.in
kyā gardish-e-hayāt ke tevar se duur hai
rangini-e-hayat ke manzar se dur hai
dil apna raushni-e-muqaddar se dur hai
ye sach hai koi dost nahin zindagi ke sath
ye kya hai kam ki fitna-e-mahshar se dur hai
alfaz ka mahakta hai gul-dan har ghaDi
afkar ka ujala magar sar se dur hai
gumrahiyon se us ko bacha le KHuda-e-pak
ye qaum aaj dars-e-payambar se dur hai
main apna hath su-e-falak to baDhae hun
ye aur baat hai mah-o-aKHtar se dur hai
mazdur hun main karta hun mehnat tamam din
KHush-haali phir bhi mere muqaddar se dur hai
'darwesh' apni zat se tum kyon ho mutmain
kya gardish-e-hayat ke tewar se dur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.