rangini-e-hayat mein uljha diye gae
rangīni-e-hayāt meñ uljhā diye ga.e
ham asliyat kī raah se bhaTkā diye ga.e
patthar ke ho ke rah ga.e patthar-tarāsh log
ham ā.ina-sifat jo the chaTḳhā diye ga.e
apne hī dil ko 'ishq meñ madfan banā liyā
jitne hasīn ḳhvāb the dafnā diye ga.e
ham se musāfiroñ kā safar rā.egāñ huā
ham manziloñ kī had se hī lauTā diye ga.e
ab aur kis tarah se nibhā.eñge rabt ham
us ne sitāre maañg liye lā diye ga.e
jaane kahāñ chale ga.e tanhā udaas log
ham kis dayār-e-ġhair meñ pahuñchā diye ga.e
pahle to chāhatoñ meñ hue 'umr-bhar zalīl
phir ek roz yuuñ huā Thukrā diye ga.e
ham ko zarā sī aane meñ tāḳhīr kyā huī
tauba tamām raat vo tā’na diye ga.e
ham ko 'karan' udāsiyāñ tohfe meñ dī ga.iiñ
phir us ke baa'd sāġhar-o-mīnā diye ga.e
rangini-e-hayat mein uljha diye gae
hum asliyat ki rah se bhaTka diye gae
patthar ke ho ke rah gae patthar-tarash log
hum aaina-sifat jo the chaTKHa diye gae
apne hi dil ko 'ishq mein madfan bana liya
jitne hasin KHwab the dafna diye gae
hum se musafiron ka safar raegan hua
hum manzilon ki had se hi lauTa diye gae
ab aur kis tarah se nibhaenge rabt hum
us ne sitare mang liye la diye gae
jaane kahan chale gae tanha udas log
hum kis dayar-e-ghair mein pahuncha diye gae
pahle to chahaton mein hue 'umr-bhar zalil
phir ek roz yun hua Thukra diye gae
hum ko zara si aane mein taKHir kya hui
tauba tamam raat wo ta’na diye gae
hum ko 'karan' udasiyan tohfe mein di gain
phir us ke ba'd saghar-o-mina diye gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.