rangini-e-bahaar-e-tamanna liye hue
rañgīnī-e-bahār-e-tamannā liye hue
baiThā huuñ dil meñ shauq kī duniyā liye hue
ye ġhairat-e-junūñ ko gavārā nahīñ ki maiñ
uTThūñ tire karam kā sahārā liye hue
tāb-e-nigāh sāz-e-vafā soz-e-zindagī
uTThā huuñ terī bazm se kyā kyā liye hue
khāte rahe fareb sañbhalte rahe qadam
chalte rahe junūñ kā sahārā liye hue
'shāriq' idhar hai silsila-e-dīd-o-bāz-dīd
jalve udhar haiñ husn-e-taqāzā liye hue
rangini-e-bahaar-e-tamanna liye hue
baiTha hun dil mein shauq ki duniya liye hue
ye ghairat-e-junun ko gawara nahin ki main
uTThun tere karam ka sahaara liye hue
tab-e-nigah saz-e-wafa soz-e-zindagi
uTTha hun teri bazm se kya kya liye hue
khate rahe fareb sanbhalte rahe qadam
chalte rahe junun ka sahaara liye hue
'shaariq' idhar hai silsila-e-did-o-baz-did
jalwe udhar hain husn-e-taqaza liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.