rangon ki barsat thi kaisi phagan mein
rangoñ kī barsāt thī kaisī phāgan meñ
phuul khile the kalī kalī ghar āñgan meñ
ab tak us kī yaad meñ tan-man jaltā hai
dhokā mujh ko jis ne diyā thā sāvan meñ
janam maran kā chakkar kab puurā hogā
sadiyāñ biit ga.ī haiñ aavan jāvan meñ
āñkheñ nis-din niir bahātī rahtī haiñ
aag lagī hai kaisī mere tan-man meñ
us kā badan to ā.īnoñ ko sharmā.e
kyoñ vo mukhḌā dekh rahī thī darpan meñ
jal-thal jal-thal umaḌ ghumaḌ barse bādal
pyaas miTī nahīñ phir bhī merī sāvan meñ
kaun ujāle le kar mere ghar aaya
dhuup utar aa.ī hai mere āñgan meñ
jab chāhegī phan ko uThā kar Das legī
amrit paa.e kaise koī nāgan meñ
badal ga.e āseboñ meñ vo chehre kyoñ
dekhe jin ke ḳhvāb suhāne bachpan meñ
Dar aur zulm kā yaaro koī ant nahīñ
ḳhud ko DhūñD rahe haiñ log ab rāvan meñ
'raaj bahut mushkil hai lenā sukh kā saañs
dukh ne aisā jakaḌ liyā hai bandhan meñ
rangon ki barsat thi kaisi phagan mein
phul khile the kali kali ghar aangan mein
ab tak us ki yaad mein tan-man jalta hai
dhoka mujh ko jis ne diya tha sawan mein
janam maran ka chakkar kab pura hoga
sadiyan bit gai hain aawan jawan mein
aankhen nis-din nir bahati rahti hain
aag lagi hai kaisi mere tan-man mein
us ka badan to aainon ko sharmae
kyon wo mukhDa dekh rahi thi darpan mein
jal-thal jal-thal umaD ghumaD barse baadal
pyas miTi nahin phir bhi meri sawan mein
kaun ujale le kar mere ghar aaya
dhup utar aai hai mere aangan mein
jab chahegi phan ko uTha kar Das legi
amrit pae kaise koi nagan mein
badal gae aasebon mein wo chehre kyon
dekhe jin ke KHwab suhane bachpan mein
Dar aur zulm ka yaro koi ant nahin
KHud ko DhunD rahe hain log ab rawan mein
'raj bahut mushkil hai lena sukh ka sans
dukh ne aisa jakaD liya hai bandhan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.