rangon ko taswir kiya nahin ja sakta
rangoñ ko tasvīr kiyā nahīñ jā saktā
ḳhvāboñ ko ta.abīr kiyā nahīñ jā saktā
hijr tujhe mahsūs kiyā jā saktā hai
lekin dāman-gīr kiyā nahīñ jā saktā
āñkhoñ āñkhoñ meñ jo kahte sunte haiñ
kāġhaz par tahrīr kiyā nahīñ jā saktā
jangal meñ tum qais nahīñ ban sakte ho
sher meñ tum ko 'mīr' kiyā nahīñ jā saktā
'shams' tumhāre sher to dil ko lagte haiñ
lekin naam 'kabīr' kiyā nahīñ jā saktā
rangon ko taswir kiya nahin ja sakta
KHwabon ko tabir kiya nahin ja sakta
hijr tujhe mahsus kiya ja sakta hai
lekin daman-gir kiya nahin ja sakta
aankhon aankhon mein jo kahte sunte hain
kaghaz par tahrir kiya nahin ja sakta
jangal mein tum qais nahin ban sakte ho
sher mein tum ko 'mir' kiya nahin ja sakta
'shams' tumhaare sher to dil ko lagte hain
lekin nam 'kabir' kiya nahin ja sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.