rangon se ThanDe pani ke chashme bana diye
rañgoñ se ThanDe paanī ke chashme banā diye
kāġhaz pe sāya-dār shajar bhī lagā diye
lā.ūñgā ab kahāñ se nazāre kī taab maiñ
us ne to merī aañkh se parde haTā diye
bāġh-e-hurūf-o-gulshan-e-ma.anī meñ dekhnā
kis ne ye ḳhāmushī ke na.e gul khilā diye
chhoTe se abr paare ne aa ke sar-e-falak
ahl-e-nazar ko din Dhale paiġhām kyā diye
bas ham to ek chhoTī sī zid pe aḌe rahe
dastār ko bachāne meñ sar hī kaTā diye
āñkhoñ meñ rah ga.e haiñ faqat aas ke sarāb
dariyā vo yaas ke the jo un meñ bahā diye
din ko safar kuchh aur bhī āsān ho gayā
rātoñ ko sabz ḳhvāb ye kis ne dikhā diye
tartīb se liye haiñ tumhāre tamām naam
ik aur hī falak pe sitāre sajā diye
tūfāñ kā ruup dhaar liyā tez saañs ne
itnā ki ḳhvāb-gāh ke parde hilā diye
rangon se ThanDe pani ke chashme bana diye
kaghaz pe saya-dar shajar bhi laga diye
launga ab kahan se nazare ki tab main
us ne to meri aankh se parde haTa diye
bagh-e-huruf-o-gulshan-e-mani mein dekhna
kis ne ye KHamushi ke nae gul khila diye
chhoTe se abr pare ne aa ke sar-e-falak
ahl-e-nazar ko din Dhale paigham kya diye
bas hum to ek chhoTi si zid pe aDe rahe
dastar ko bachane mein sar hi kaTa diye
aankhon mein rah gae hain faqat aas ke sarab
dariya wo yas ke the jo un mein baha diye
din ko safar kuchh aur bhi aasan ho gaya
raaton ko sabz KHwab ye kis ne dikha diye
tartib se liye hain tumhaare tamam nam
ek aur hi falak pe sitare saja diye
tufan ka rup dhaar liya tez sans ne
itna ki KHwab-gah ke parde hila diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.