ranj-e-duniya ho ki ranj-e-ashiqi kya dekhna
ranj-e-duniyā ho ki rañj-e-āshiqī kyā dekhnā
saarī ḳhushiyāñ hairateñ sab ek sī kyā dekhnā
baaġh bāzār-e-tamāshā aañkh jūyā-e-bahār
chashm-e-nargis yā tan-e-sarv-e-sahī kyā dekhnā
dekhnā kyā ek hī shai sū-e-bātin dekhiye
be-hisī be-chehragī be-manzarī kyā dekhnā
saaz meñ bālā-e-naġhma aur āvāzeñ bhī haiñ
ik sharār-e-naġhmagī āvāz kī kyā dekhnā
rāh-e-sahrā hai na aatī hai kahīñ fasl-e-bahār
ishq meñ dīvāngī jāma-darī kyā dekhnā
mushkiloñ meñ kaam aa jaatī hai āshufta-sarī
ai junūñ-sāmān-e-kār-e-āgahī kyā dekhnā
jab use dekhā to jī chāhā ki dekhā hī karūñ
sochtā ye thā ki nāz-e-dilbarī kyā dekhnā
ranj-e-duniya ho ki ranj-e-ashiqi kya dekhna
sari KHushiyan hairaten sab ek si kya dekhna
bagh bazar-e-tamasha aankh juya-e-bahaar
chashm-e-nargis ya tan-e-sarw-e-sahi kya dekhna
dekhna kya ek hi shai su-e-baatin dekhiye
be-hisi be-chehragi be-manzari kya dekhna
saz mein baala-e-naghma aur aawazen bhi hain
ek sharar-e-naghmagi aawaz ki kya dekhna
rah-e-sahra hai na aati hai kahin fasl-e-bahaar
ishq mein diwangi jama-dari kya dekhna
mushkilon mein kaam aa jati hai aashufta-sari
ai junun-saman-e-kar-e-agahi kya dekhna
jab use dekha to ji chaha ki dekha hi karun
sochta ye tha ki naz-e-dilbari kya dekhna
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 145)
- Author : Syed Amin Ashraf
- Publication : Urdu Monthly Shabkhoon Rani Mandi Allahabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.