ranj-e-na-asudgi karb-e-hunar dekhega kaun
ranj-e-nā-āsūdgī karb-e-hunar dekhegā kaun
naqsh-e-faryādī hai kis kā dīda-var dekhegā kaun
jumbish-e-lab hī se khul jā.egā ma.anī kā bharam
us ke harf-nā-shanīda kā asar dekhegā kaun
apnī duniyā tak rakho mahdūd parvāzeñ abhī
nīlgūñ pahnā.iyoñ meñ bāl-o-par dekhegā kaun
apne kamre kā koī gul-dān ḳhālī kyuuñ rahe
phuul kāġhaz ke sajā lo sūñgh kar dekhegā kaun
ik khilaunā toḌ kar chaltī banī pāgal havā
ab ye reza reza paikar joḌ kar dekhegā kaun
kitnī tahzīboñ kā madfan hai hamārī zindagī
jagmagā.e shahr meñ lekin khañDar dekhegā kaun
ranj-e-na-asudgi karb-e-hunar dekhega kaun
naqsh-e-faryaadi hai kis ka dida-war dekhega kaun
jumbish-e-lab hi se khul jaega mani ka bharam
us ke harf-na-shanida ka asar dekhega kaun
apni duniya tak rakho mahdud parwazen abhi
nilgun pahnaiyon mein baal-o-par dekhega kaun
apne kamre ka koi gul-dan KHali kyun rahe
phul kaghaz ke saja lo sungh kar dekhega kaun
ek khilauna toD kar chalti bani pagal hawa
ab ye reza reza paikar joD kar dekhega kaun
kitni tahzibon ka madfan hai hamari zindagi
jagmagae shahr mein lekin khanDar dekhega kaun
- Book : Shab Charagh (Pg. 31)
- Author : Bakhtiyar Ziya
- Publication : Markaz-e-adab (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.