ranj ek talKH haqiqat ka faqat hai mujhko
rañj ik talḳh haqīqat kā faqat hai mujh ko
mere ahbāb ne aañkā hī ġhalat hai mujh ko
ba.ad muddat ke gulāboñ kī mahak aa.ī hai
us ne pardes se bhejā koī ḳhat hai mujh ko
mauj-e-tūfān se begāna huā huuñ phir maiñ
phir mayassar huī āsānī-e-shat hai mujh ko
harf kī shakl meñ Dhaltī haiñ lakīreñ ḳhud se
aa ke detā koī paiġhām-e-nuqat hai mujh ko
kar diyā kund havāoñ kī namī ne jis ko
usī ḳhanjar se lagānā koī qat hai mujh ko
kunj-e-tārīk meñ yuuñ jhāñk rahā huuñ 'rāhat'
jaise darkār koī baiza-e-bat hai mujh ko
ranj ek talKH haqiqat ka faqat hai mujh ko
mere ahbab ne aanka hi ghalat hai mujh ko
baad muddat ke gulabon ki mahak aai hai
us ne pardes se bheja koi KHat hai mujh ko
mauj-e-tufan se begana hua hun phir main
phir mayassar hui aasani-e-shat hai mujh ko
harf ki shakl mein Dhalti hain lakiren KHud se
aa ke deta koi paigham-e-nuqat hai mujh ko
kar diya kund hawaon ki nami ne jis ko
usi KHanjar se lagana koi qat hai mujh ko
kunj-e-tarik mein yun jhank raha hun 'rahat'
jaise darkar koi baiza-e-bat hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.