ranj ke hathon git KHushi ke likhwao to baat bane
rañj ke hāthoñ giit ḳhushī ke likhvāo to baat bane
toḌ ke ashkoñ kī zanjīreñ muskāo to baat bane
shor machātī āvāzoñ se toḌ ke rishta pal-do-pal
ḳhāmoshī kī sargoshī gar sun paao to baat bane
gulshan meñ to ḳhushbū har-sū rahtī hī hai gul-rut meñ
sahrāoñ meñ jānāñ ġhunche mahkāo to baat bane
mujh ko hiir sayāl se matlab aur na rāñjhe se kuchh kaam
toḌ ke bandhan rasmoñ kā tum aa jaao to baat bane
baat vafā kī dil vāloñ kī nagrī meñ hai aam bahut
shahr-e-butāñ meñ giit vafā ke gā paao to baat bane
god meñ ḳhushiyoñ kī har koī chain se sotā hai lekin
muuñd ke āñkheñ ġham bāñhoñ meñ lahrāo to baat bane
chāñd sitāre toḌ ke laanā afsānoñ kī bāteñ haiñ
mere liye to pyaar nazar meñ bhar laao to baat bane
ranj ke hathon git KHushi ke likhwao to baat bane
toD ke ashkon ki zanjiren muskao to baat bane
shor machati aawazon se toD ke rishta pal-do-pal
KHamoshi ki sargoshi gar sun pao to baat bane
gulshan mein to KHushbu har-su rahti hi hai gul-rut mein
sahraon mein jaanan ghunche mahkao to baat bane
mujh ko hir sayal se matlab aur na ranjhe se kuchh kaam
toD ke bandhan rasmon ka tum aa jao to baat bane
baat wafa ki dil walon ki nagri mein hai aam bahut
shahr-e-butan mein git wafa ke ga pao to baat bane
god mein KHushiyon ki har koi chain se sota hai lekin
mund ke aankhen gham banhon mein lahrao to baat bane
chand sitare toD ke lana afsanon ki baaten hain
mere liye to pyar nazar mein bhar lao to baat bane
- Book : aa.iinaa jhuuTaa Hai (Pg. 47)
- Author : FARHAT SHAHZAD
- Publication : Al-Hamd Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.