Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ranj mein bhi shad rahna chahiye

Hajir Dehlwi

ranj mein bhi shad rahna chahiye

Hajir Dehlwi

MORE BYHajir Dehlwi

    ranj meñ bhī shaad rahnā chāhiye

    ye maqūla yaad rahnā chāhiye

    hijr meñ nāshād rahnā chāhiye

    ḳhasta-o-barbād rahnā chāhiye

    sun leñge vo kabhī fariyād-e-ġham

    barsar-e-fariyād rahnā chāhiye

    ḳhud-baḳhud ho jā.eñge vo mehrbāñ

    tālib-e-bedād rahnā chāhiye

    kis liye phañstā hai ai dil zulf meñ

    qaid se āzād rahnā chāhiye

    ḳhvāh sar par āsmāñ bhī aa paḌe

    aadmī ko shaad rahnā chāhiye

    chhūT kar ham ne qafas se ye kahā

    kuchh sitam sayyād rahnā chāhiye

    chhoḌ kar dil aap jaate haiñ kahāñ

    ye makāñ ābād rahnā chāhiye

    vā'da to ham se kiye jaate ho tum

    shart ye hai yaad rahnā chāhiye

    rahm aa jā.egā 'hājir' unheñ

    ishq meñ barbād rahnā chāhiye

    ranj mein bhi shad rahna chahiye

    ye maqula yaad rahna chahiye

    hijr mein nashad rahna chahiye

    KHasta-o-barbaad rahna chahiye

    sun hi lenge wo kabhi fariyaad-e-gham

    barsar-e-fariyaad rahna chahiye

    KHud-baKHud ho jaenge wo mehrban

    talib-e-bedad rahna chahiye

    kis liye phansta hai ai dil zulf mein

    qaid se aazad rahna chahiye

    KHwah sar par aasman bhi aa paDe

    aadmi ko shad rahna chahiye

    chhuT kar hum ne qafas se ye kaha

    kuchh sitam sayyaad rahna chahiye

    chhoD kar dil aap jate hain kahan

    ye makan aabaad rahna chahiye

    wa'da to hum se kiye jate ho tum

    shart ye hai yaad rahna chahiye

    rahm aa hi jaega 'hajir' unhen

    ishq mein barbaad rahna chahiye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now