ranj nahin alam nahin sun mera haal kuchh nahin
rañj nahīñ alam nahīñ sun mirā haal kuchh nahīñ
tū ne jo āñkheñ pher liiñ us kā malāl kuchh nahīñ
mast huuñ apne haal meñ dast-e-karam idhar na kar
huuñ to gadā zarūr maiñ tujh se savāl kuchh nahīñ
shikva hai baḳht kā mujhe tujh se shikāyateñ nahīñ
jis se malāl chāhiye us se malāl kuchh nahīñ
terī nigāh-e-nāz ne vo sabaq-e-ḳhudī diyā
apne sivā kisī se bhī ab to malāl kuchh nahīñ
ranj nahin alam nahin sun mera haal kuchh nahin
tu ne jo aankhen pher lin us ka malal kuchh nahin
mast hun apne haal mein dast-e-karam idhar na kar
hun to gada zarur main tujh se sawal kuchh nahin
shikwa hai baKHt ka mujhe tujh se shikayaten nahin
jis se malal chahiye us se malal kuchh nahin
teri nigah-e-naz ne wo sabaq-e-KHudi diya
apne siwa kisi se bhi ab to malal kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.