ranj-o-gham deta hai ya dad-e-wafa deta hai
ranj-o-ġham detā hai yā dād-e-vafā detā hai
dekhnā ye hai zamāna mujhe kyā detā hai
log ye pūchh rahe haiñ tire dīvāne se
kis kā dīvāna hai tū kis ko sadā detā hai
us kī azmat ko to ai dost ḳhudā hī jaane
kosne vāloñ ko jo shaḳhs duā detā hai
jaane kis soch meñ Duubā hai masīhā merā
zahr detā hai mujhe aur na davā detā hai
aaj ye dekhne niklā huuñ ba-sad shauq-o-ḳhulūs
kaun duniyā meñ vafāoñ kā sila detā hai
tujh ko bhūle hue ik umr huī hai lekin
dil kā har zaḳhm tujhe ab bhī duā detā hai
ab maiñ is shahr meñ rahtā huuñ jahāñ ai 'aḳhtar'
ik banātā hai makāñ dūsrā Dhā detā hai
ranj-o-gham deta hai ya dad-e-wafa deta hai
dekhna ye hai zamana mujhe kya deta hai
log ye puchh rahe hain tere diwane se
kis ka diwana hai tu kis ko sada deta hai
us ki azmat ko to ai dost KHuda hi jaane
kosne walon ko jo shaKHs dua deta hai
jaane kis soch mein Duba hai masiha mera
zahr deta hai mujhe aur na dawa deta hai
aaj ye dekhne nikla hun ba-sad shauq-o-KHulus
kaun duniya mein wafaon ka sila deta hai
tujh ko bhule hue ek umr hui hai lekin
dil ka har zaKHm tujhe ab bhi dua deta hai
ab main is shahr mein rahta hun jahan ai 'aKHtar'
ek banata hai makan dusra Dha deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.