ranj-o-gham-e-hayat ka unwan nahin hun main
ranj-o-ġham-e-hayāt kā 'unvāñ nahīñ huuñ maiñ
kyā tum ye kah rahe ho ki insāñ nahīñ huuñ maiñ
sham'-e-farāz-e-tūr daraḳhshāñ nahīñ to kyā
lekin ġhalat ki ġhairat-e-yazdāñ nahīñ huuñ maiñ
ai ḳhizr-e-rāh terī zarūrat nahīñ mujhe
nā-vāqif-e-talātum-o-tūfāñ nahīñ huuñ maiñ
uḌ jā.ūñ gard-e-pā kī tarah kārvāñ ke saath
itnā subuk to gardish-e-daurāñ nahīñ huuñ maiñ
mujh ko bhī tere pyaar kā saudā to hai magar
tar-āstīn-o-chāk-garebāñ nahīñ huuñ maiñ
ranj-o-gham-e-hayat ka 'unwan nahin hun main
kya tum ye kah rahe ho ki insan nahin hun main
sham'-e-faraaz-e-tur daraKHshan nahin to kya
lekin ghalat ki ghairat-e-yazdan nahin hun main
ai KHizr-e-rah teri zarurat nahin mujhe
na-waqif-e-talatum-o-tufan nahin hun main
uD jaun gard-e-pa ki tarah karwan ke sath
itna subuk to gardish-e-dauran nahin hun main
mujh ko bhi tere pyar ka sauda to hai magar
tar-astin-o-chaak-gareban nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.