ranj-o-gham jitne hain un ko kala pani bhej de
ranj-o-ġham jitne haiñ un ko kaalā paanī bhej de
ai ḳhudā tū mere ghar meñ shādmānī bhej de
maiñ bhī ab hijrat karūñgā aur faqat tere liye
mujh ko bhī parvāna-e-naql-e-makānī bhej de
zulmateñ fir.aun ban kar chhā ga.ī haiñ har taraf
dast-e-mūsā kī tarah ujlī nishānī bhej de
phir nayā vo abraha ka.abe ko Dhāne aa gayā
phir abābīloñ kā lashkar kāmrānī bhej de
ātishīñ mausam jalā degā ye saarī bastiyāñ
kam se kam mere nagar meñ rut suhānī bhej de
al-atash chillā rahe haiñ saare hī pīr-o-javāñ
abr-e-bārāñ bhej de rahmat kā paanī bhej de
kuchh nahīñ qismat meñ lekin qādir-e-mutlaq hai tū
daulat-e-duniyā kahīñ se nā-gahānī bhej de
gosh-bar-āvāz ho kar sun rahā huuñ maiñ baġhaur
muntazir huuñ ik nidā-e-āsmānī bhej de
maiñ bhī terī hamd meñ ash.ār kuchh to kah sakūñ
muntaḳhab alfāz de husn-e-ma.ānī bhej de
ye bhī ronā koī ronā hai bhalā 'muḳhtār' kā
dīda-e-tar ke liye ab ḳhūñ-fishānī bhej de
ranj-o-gham jitne hain un ko kala pani bhej de
ai KHuda tu mere ghar mein shadmani bhej de
main bhi ab hijrat karunga aur faqat tere liye
mujh ko bhi parwana-e-naql-e-makani bhej de
zulmaten firaun ban kar chha gai hain har taraf
dast-e-musa ki tarah ujli nishani bhej de
phir naya wo abraha kabe ko Dhane aa gaya
phir ababilon ka lashkar kaamrani bhej de
aatishin mausam jala dega ye sari bastiyan
kam se kam mere nagar mein rut suhani bhej de
al-atash chilla rahe hain sare hi pir-o-jawan
abr-e-baran bhej de rahmat ka pani bhej de
kuchh nahin qismat mein lekin qadir-e-mutlaq hai tu
daulat-e-duniya kahin se na-gahani bhej de
gosh-bar-awaz ho kar sun raha hun main baghaur
muntazir hun ek nida-e-asmani bhej de
main bhi teri hamd mein ashaar kuchh to kah sakun
muntaKHab alfaz de husn-e-maani bhej de
ye bhi rona koi rona hai bhala 'muKHtar' ka
dida-e-tar ke liye ab KHun-fishani bhej de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.