ranj-o-gham lakh hon muskuraate raho
ranj-o-ġham laakh hoñ muskurāte raho
dost dushman se milte milāte raho
ye añdhere haiñ mehmān ik raat ke
tum magar sub.h tak jagmagāte raho
maiñ bhulāne kī koshish karūñgā tumheñ
tum mujhe roz-o-shab yaad aate raho
raah ke pech-o-ḳham ḳhud sulajh jā.eñge
sū-e-manzil qadam ko baḌhāte raho
abr ban kar baraste raho har taraf
umr shādābiyoñ kī baḌhāte raho
maut aa.e to ḳhāmosh kar jā.egī
zindagī giit hai is ko gaate raho
tāza-dam mujh ko rakhnā hai 'hāfiz' to phir
har qadam par mujhe āzmāte raho
ranj-o-gham lakh hon muskuraate raho
dost dushman se milte milate raho
ye andhere hain mehman ek raat ke
tum magar subh tak jagmagate raho
main bhulane ki koshish karunga tumhein
tum mujhe roz-o-shab yaad aate raho
rah ke pech-o-KHam KHud sulajh jaenge
su-e-manzil qadam ko baDhate raho
abr ban kar baraste raho har taraf
umr shadabiyon ki baDhate raho
maut aae to KHamosh kar jaegi
zindagi git hai is ko gate raho
taza-dam mujh ko rakhna hai 'hafiz' to phir
har qadam par mujhe aazmate raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.