ranj-o-gham-o-firaq mein jo mubtala nahin
ranj-o-gham-o-firaq mein jo mubtala nahin
Azeezur Rahman Azeez Pani Pati
MORE BYAzeezur Rahman Azeez Pani Pati
ranj-o-ġham-o-firāq meñ jo mubtalā nahīñ
duniyā meñ us kī ziist kā kuchh bhī mazā nahīñ
le lo qasam ki ham ne tumhāre sivā sanam
is naqd-e-dil ko aur kisī ko diyā nahīñ
ai dil butoñ ke ishq ne barbād kar diyā
varna jahāñ meñ ham sā koī bā-vafā nahīñ
bilkul durust ye ki butoñ meñ vafā kahāñ
un se to dil lagāne kā kuchh bhī mazā nahīñ
paa.ī sazā ḳharāb hue ishq kyoñ kiyā
ye sab ḳhatā hai dil kī hamārī ḳhatā nahīñ
dam laakh us ke ishq kā bharte rahe magar
phir bhī kisī kā vo kabhī dil-āshnā nahīñ
insāf merā aur tirā hogā ek din
vo kaun sā sitam hai jo mujh par kiyā nahīñ
māshūq-e-pur-jafā se maiñ nā-chār ho gayā
is ġham se chhūTtā magar aatī qazā nahīñ
āh-o-fuġhāñ se fā.eda kuchh bhī nahīñ 'azīz'
ye but haiñ sang-dil inheñ ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ
ranj-o-gham-o-firaq mein jo mubtala nahin
duniya mein us ki zist ka kuchh bhi maza nahin
le lo qasam ki hum ne tumhaare siwa sanam
is naqd-e-dil ko aur kisi ko diya nahin
ai dil buton ke ishq ne barbaad kar diya
warna jahan mein hum sa koi ba-wafa nahin
bilkul durust ye ki buton mein wafa kahan
un se to dil lagane ka kuchh bhi maza nahin
pai saza KHarab hue ishq kyon kiya
ye sab KHata hai dil ki hamari KHata nahin
dam lakh us ke ishq ka bharte rahe magar
phir bhi kisi ka wo kabhi dil-ashna nahin
insaf mera aur tera hoga ek din
wo kaun sa sitam hai jo mujh par kiya nahin
mashuq-e-pur-jafa se main na-chaar ho gaya
is gham se chhuTta magar aati qaza nahin
aah-o-fughan se faeda kuchh bhi nahin 'aziz'
ye but hain sang-dil inhen KHauf-e-KHuda nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.