ranj-o-gham sahe kab tak mujh sa na-tawan tanha
ranj-o-ġham sahe kab tak mujh sā nā-tavāñ tanhā
maiñ hī rah gayā huuñ kyā zer-e-āsmāñ tanhā
is adā se karte haiñ zikr hazrat-e-vā.iz
jaise aap hī to haiñ mālik-e-jināñ tanhā
ek hū kā aalam hai gul hai aur na ġhunche haiñ
kyā karegā gulshan meñ rah ke bāġhbāñ tanhā
ab vatan kī quvvat kā haal pūchhte kyā ho
ek ek lashkar hai ek ik javāñ tanhā
āsmāñ ke taare hoñ yā zamīñ ke zarre hoñ
maiñ sunā.ūñ kis kis ko apnī dāstāñ tanhā
un kī yaad hai dil meñ un kī shakl āñkhoñ meñ
un se chhūTne par bhī maiñ rahā kahāñ tanhā
pīchhe rah ga.e thak kar ahl-e-kārvāñ saare
hai ravāñ sū-e-manzil mīr-e-kārvāñ tanhā
āshiyāñ ke jalte hī āshiyāñ banātā huuñ
maiñ faqat samajhtā huuñ barq kī zabāñ tanhā
ai 'sa.īd' qismat ko ye bhī din dikhānā thā
aaj apnī hālat par maiñ huuñ nauha-ḳhvāñ tanhā
ranj-o-gham sahe kab tak mujh sa na-tawan tanha
main hi rah gaya hun kya zer-e-asman tanha
is ada se karte hain zikr hazrat-e-waiz
jaise aap hi to hain malik-e-jinan tanha
ek hu ka aalam hai gul hai aur na ghunche hain
kya karega gulshan mein rah ke baghban tanha
ab watan ki quwwat ka haal puchhte kya ho
ek ek lashkar hai ek ek jawan tanha
aasman ke tare hon ya zamin ke zarre hon
main sunaun kis kis ko apni dastan tanha
un ki yaad hai dil mein un ki shakl aankhon mein
un se chhuTne par bhi main raha kahan tanha
pichhe rah gae thak kar ahl-e-karwan sare
hai rawan su-e-manzil mir-e-karwan tanha
aashiyan ke jalte hi aashiyan banata hun
main faqat samajhta hun barq ki zaban tanha
ai 'said' qismat ko ye bhi din dikhana tha
aaj apni haalat par main hun nauha-KHwan tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.