ranj-o-gham se jab kabhi manus ho jata hai dil

ranj-o-gham se jab kabhi manus ho jata hai dil
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
ranj-o-ġham se jab kabhī mānūs ho jaatā hai dil
mauj ban kar gardish-e-daurāñ se Takrātā hai dil
bas meñ rahte rahte hāthoñ se nikal jaatā hai dil
yā'nī aatā hai to be-ḳhauf-o-ḳhatar aatā hai dil
dil kī raunaq se hai qaa.em raunaq-e-bazm-e-jahāñ
muñh chhupātī haiñ bahāreñ jab ujaḌ jaatā hai dil
dil to dil hai TūTne meñ der lagtī hī nahīñ
jazba-e-sādiq salāmat ho to juḌ jaatā hai dil
TūTnā dil kā batā.ūñ kis tarah tum ko 'adīb'
ik laraztī shāḳh kī mānind tharrātā hai dil
ranj-o-gham se jab kabhi manus ho jata hai dil
mauj ban kar gardish-e-dauran se Takraata hai dil
bas mein rahte rahte hathon se nikal jata hai dil
ya'ni aata hai to be-KHauf-o-KHatar aata hai dil
dil ki raunaq se hai qaem raunaq-e-bazm-e-jahan
munh chhupati hain bahaaren jab ujaD jata hai dil
dil to dil hai TuTne mein der lagti hi nahin
jazba-e-sadiq salamat ho to juD jata hai dil
TuTna dil ka bataun kis tarah tum ko 'adib'
ek larazti shaKH ki manind tharraata hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.