ranj-o-gham soz-e-nihani se mafar pane ko
ranj-o-gham soz-e-nihani se mafar pane ko
Saeedul Haq Saeed Itawi
MORE BYSaeedul Haq Saeed Itawi
ranj-o-ġham soz-e-nihānī se mafar paane ko
rind to rind chale shaiḳh bhī maiḳhāne ko
sāqiyā thoḌī bahut thoḌī are aur bhī kam
chāhiye itnī ki pī luuñ maiñ qasam khāne ko
narm bistar hī zarūrī nahīñ sone ke liye
sham.a kī god meñ niiñd aa ga.ī parvāne ko
maut ko maut hai is kā bhī zarā dhyān rahe
aap aa.e haiñ jo bekas pe sitam Dhāne ko
apne andar bhī zarā jhāñk ke dekhe vaa.iz
vo jo aaya hai balā-nosh ko samjhāne ko
ranj-o-gham soz-e-nihani se mafar pane ko
rind to rind chale shaiKH bhi maiKHane ko
saqiya thoDi bahut thoDi are aur bhi kam
chahiye itni ki pi lun main qasam khane ko
narm bistar hi zaruri nahin sone ke liye
shama ki god mein nind aa gai parwane ko
maut ko maut hai is ka bhi zara dhyan rahe
aap aae hain jo bekas pe sitam Dhane ko
apne andar bhi zara jhank ke dekhe waiz
wo jo aaya hai bala-nosh ko samjhane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.